Yeh Kaisi Raah

Yeh kaisi raah maine chuni,
na kisi ka saath yahan, na koi aaspaas yahan,
door tak hai sirf tanhai, sirf tanhai,
kahan gaye woh suhane din, kahan gayi woh raatein,
din mein ugta suraj, raat ka woh chandramaa,
prakash mein bhi andhkar yahan,
yeh kaisi raah maine chuni.

Door se to dikhti itni achhi raah,
socha na tha aisi hogi,
door se dikhte phool aise shool honge,
raah ke hamsafar iss tarah door honge,
chod ke mujhe akela, kisi aur ka saath denge,
iss raah ke saare rahi uss raah se gujarenge,
yeh kaisi raah maine chuni.

Ghar pariwar chchod jis raah ko pakada,
wahi raah dasne lagi mujhe,
sab ke mana karne par bhi jise chaha maine,
wahi raah aaj chchodne lagi mujhe,
intejaar karta iss raah ke raahgiron ka,
aaj bhi issi raah par khada hoon main,
sirf kisi ka saath pane ke liye...

-- VICKY