Khamoshi...

har rang mein ek khamoshi hai,
har ghar mein ek khamoshi hai,
geet, sur aur shabdon mein ek khamoshi hai,
pehchanana har khamoshi ko kathin hai kyonki,
shayad aankhon mein bhi ek khamoshi hai,
kya ho raha hai aaj yeh mujhe,
har khamoshi kuch gun guna rahi hai,
shayad mujh se kuch keh rahi hai,
aaj pata chala, khamoshi mein bhi kuch shabd chhupe hote hain,
haan khamoshi ke sab geet sune maine,
shayad khamoshi ki bhavnayein bhi aaj phoot padi hai,
shayad khamoshi bhi kehna chahti hai kuch,
shayad khamoshi bhi samjhana chahti hai kuch,
khamoshi mein chhipi khamoshi bhi bolne lagi hai aaj,
har taraf khamoshi ka shor hai aaj,
nirantar kuch darsha rahi hai yeh khamoshi,
jaane kitne varshon se kuch keh rahi hai khamoshi,
phir bhi jab na samjha koi to,
aaj phoot padi hai khamoshi,
vikral roop dharan kar, har ghar mein aa gayi hai khamoshi,
krodhit ho sabmein sama gayi hai khamoshi,
tehlaka macha rahi hai khamoshi,
shor macha rahi hai khamoshi,
baar baar kehti ja rahi hai khamoshi,
"Kyon nahi samjhte jo samjhana chahti hoon,
Kyon nahi karte jo karna chahiye tumhe"
krudh ho cheekh rahi khamoshi...

-- VICKY