Maine Duniya Ko Badalte Hue Dekha Hai...

Maine duniya ko badalte hue dekha hai,
aaj tak jo tumhare saath hain, tumhare apne hain,
kal agar woh tumhari burai kare, paraye ho jayen,
to aascharya chakit mat hona kyonki,
maine duniya ko badalte hue dekha hai.

maine dekha hai sone ko peetal bante hue,
lekin peetal kabhi sona nahi ban paya,
maine dekha hai logon ko pani peete aur kumhar ko gaali dete,
maine duniya ko badalte hue dekha hai.

maine dekha hai logon ko pyaar jatate hue par,
unhe kaun samjhaye ki we aapse pyaar nahi karte,
maine dekha hai logon ko paise dete hue par
unhe kaun samjhaye ki ek samay we sud sahit unhe haasil karenge,
maine duniya ko badalte hue dekha hai.

aadmi kapde dhota rahta hai, jabki use pata hai ki
we ek din wapas kharab honge, duniya mein kuch log aise bhi hain,
shayad we geeta ki un panktiyon ko apne dimag mein rakhte hain par
unhe ye kaun samjhaye,
maine shayad duniya ko badalte hue dekha hai,
shayad....

-- VICKY