Gujra Jamana

Gujra jamana le gaya kuch,
nayi puranee yaadein,
jiske aane ki itni minnate ki thi,
woh kuch hi kshanon mein chala gaya,
samay bit gaya, bitata gaya nirantar,
gujra jamana le gaya,
kuch aisa samay jo phir kabhi nahi aayega.

kuch khatte-mithe anubhav,
kuch galat fahamiyaan,
kuch yaar chale gaye, kuch iss zindagi se jud gaye,
sadiyon se band thi jo aankhen,
kuch logon ne sachhai batakar,
uss bhrama ko bhi tod diya,
gujra jamana le aaya hamein,
aasmaan se jameen par.

woh aaj khush hain jo mere 'gujre jamane' mein the,
shayad mera gujra jamana khush hai kyonki,
aaj woh mere saath nahi hai,
gujra jamana le gaya khud ko mujhse itna dur,
ki dur-dur tak uska koi namo-nishan tak nahi.

gujra jamana le gaya kuch
nayi puranee yaadein..

-- VICKY