A R C H I V E S -- GHAZAL 1

Zulmat_kade meiN mere shab-e-GHam ka josh hai
Ik shamma'a hai daleel-e-sahar, so KHamosh hai Sha'ir~1
Nai muzda-e-wisaal na nazzaara-e-jamaal
Muddat huee ki aashtee-e-chashm-o-gosh hai Sha'ir~2
Mai ne kiya hai, husn-e-KHud_aara ko be_hijaab
'Ai shauq, yaaN ijaazat-e-tasleem-e-hosh hai Sha'ir~3
Gauhar ko iqd-e-gardan-e-KHubaaN meiN dekhna
Kya auj par sitaara-e-gauhar_farosh hai Sha'ir~4
Deedaar baada, hausla saaqee, nigaah mast
Bazm-e-KHayaal maikada-e-be_KHarosh hai Sha'ir~5
'Ei taaza waaridan-e-bisaat-e-hawa-e-dil
Zinhaar agar tumhaiN hawas-e-nae-o-nosh hai* Sha'ir~6
Dekho mujhe jo deeda-e-ibrat nigaah ho
Meree suno jo gosh-e-naseehat niyosh hai Sha'ir~7
Saaqee ba_jalwa dushman-e-imaan-o-aagahee
Mutrib ba_naGHma rahzan-e-tamkeen-o-hosh hai Sha'ir~8
Ya shab ko dekhte the ke har gosha-e-bisaat
Daamaan-e-baaGHbaan-o-kaf-e-gul_farosh hai Sha'ir~9
Lutf-e-KHiraam-e-saaqee-o-zauq-e-sada-e-chang
Yeh jannat-e-nigaah woh firdaus-e-gosh hai Sha'ir~10
Ya subh dam jo dekhiye aakar to bazm meiN
Nai woh suroor-o-soz na josh-o-KHarosh hai Sha'ir~11
DaaGH-e-firaaq-e-sohabat-e-shab kee jalee hooee
Ik shamma`a reh gaee hai so wo bhee KHamosh hai Sha'ir~12
Aate haiN GHaib se ye mazaameeN KHayaal meiN
'GHalib', sareer-e-KHaama nawa-e-sarosh hai Sha'ir~13

* hawas-e-nae-wa-nosh (an alternative pronunciation)


send your comments and suggestions to

© 1998 ziestnmot@aol.com


This page hosted by GeoCities Get your own Free Home Page